Main bhi parayi hoon to kya,
Main hoon aur main bhi udhna chahti hoon,
Aur main pyar karna janti hoon.
Mahsoos karti hoon aur janti hoon,
Parayi hoon par jimedari samjhti hoon.
Main hoon lekin aas pass nahin
Par phir bhi ek pukar door hoon to kya.
Mujhe bhi mauka do kuch batlane ka
Mauka do kuch kar dikhane ka.
Kuch umeedein mujhse bhi jod do
Main un ka jawaab hoon.
Parayi hoon to kya aap ki kokh se hi hoon
Parayi hoon par
Aap hi ki beti hoon...Ma